hai qaid-o-band si haalat meri rihai mein
By shehzad-anjum-burhaniJanuary 5, 2024
hai qaid-o-band si haalat meri rihai mein
to sochta hun khalal dal dun khudai mein
zamana jin ki qayaadat mein gamzan tha wo log
bhatak gae teri aankhon ki rahnumai mein
guzishta shab ka koi aish khul nahin pata
bade maze hain yahan din ki parsai mein
kahan hun main ki jo hairat-zada zamana hai
kahan ho tum ki jo shamil the jag-hansai mein
kuchh aur der na suraj uge ki raushan hain
mere charagh hawaon ki rahnumai mein

58898 viewsghazal • English