hai soz-e-gham ko garmi-e-bazar ki talash is jins ko hai apne kharidar ki talash kafir ki justuju hai na din-dar ki talash hai ek jazb-e-gham ke parastar ki talash aawargi-e-chashm-e-tajassus abas nahin karti hai apne markaz-e-didar ki talash juya gunahgar hai lutf-e-karim ka lutf-e-karim ko hai gunahgar ki talash kya jaane shakh shakh ne kya gul khilae hain hai aashiyan ko barq-e-sharar-bar ki talash warafta-e-junun ka hai muddaa kuchh aur sahra ki justuju hai na gulzar ki talash pursan koi bhi aaj 'munawar' mera nahin mujh gham-zada ko hai kisi gham-khwar ki talash