hai sunana unhen bekar kisi aur ka dukh

By sajid-raheemFebruary 28, 2024
hai sunana unhen bekar kisi aur ka dukh
jin ko hota hi nahin yar kisi aur ka dukh
koi dukh hai to mere dil ke hawale kar do
us ne barta hai bahut bar kisi aur ka dukh


dekh leta hai akela jo zamin par mujh ko
aah bharta hai falak par kisi aur ka dukh
roz karta hun tere dukh ki talafi aise
bant leta hun mere yar kisi aur ka dukh


log karte hain jo dukh-sukh mein madad auron ki
un ka hota hai madad-gar kisi aur ka dukh
roz deta hai mere dil pe tera dukh dastak
odh leta hun main har bar kisi aur ka dukh


main saja dun yahan taswir hamari koi
main laga dun sar-e-diwar kisi aur ka dukh
'izzat-e-nafs to muflis ki bhi hoti hogi
kyon badhata hai riya-kar kisi aur ka dukh


main wo pagal hun jise khud se sarokar nahin
mujh se rakhta hai sarokar kisi aur ka dukh
main ne qasdan tere dukh se nahin aankhen pherin
dekh pata nahin bimar kisi aur ka dukh


ranj itne hain ki aati nahin bari apni
roz likhta hai qalam-kar kisi aur ka dukh
thik hai mujh mein bahut hausla hoga lekin
meri banhon mein na ro yar kisi aur ka dukh


taki mujh ko na mere dukh ki sadaen aaen
ab main sunta hun lagatar kisi aur ka dukh
tere mantar se main achchha nahin hone wala
mujh pe tari hai fusun-kar kisi aur ka dukh


jaise har dukh se zamane ke khalasi hogi
yun manate hain azadar kisi aur ka dukh
us ko har subh har ek sham hamara dukh hai
hum ko din raat lagatar kisi aur ka dukh


77462 viewsghazalEnglish