hai wahimon ka tamasha yahan wahan dekho hamare pas mukammal khuda kahan dekho dil-o-dimagh ke andar ana ki gunj suno bala si koi lahu mein rawan-dawan dekho nafas ka sanp kahan zer hone wala hai phir is ke baad koi aur imtihan dekho ab apne ghar ke liye ek nai zamin socho zamin ke sar pe koi taza aasman dekho is ek sawal ke kitne azab jhel chuka kuchh aur dard banu aur imtihan dekho guzar ke jaana hai wahshat ke ek dariya se yaqin na ho to yahan rasta kahan dekho kahan se aaegi ab raushni mohabbat ki bahut dhuan hai makanon ke darmiyan dekho main be-yaqin hun aisa ki mere hathon mein tamam aayaten suraj ki raegan dekho phata hua kisi uryan sawal jaisa hai hamare sar pe ye rahmat ka saeban dekho nishan ret ke aae hain mere hisse mein nikal gaya hai bahut dur karwan dekho masih maut ka paigham le ke aaya hai ab aur kaun bachaega meri jaan dekho mere huruf adhuri udan jaise hain mera shuur maani ka aasman dekho wo ek lamha hayat-ashna likho 'ahmad' wagarna sari kahani hi raegan dekho