hai wajh-e-sukun-e-dil-e-ashufta-nawa bhi wo aankh ki hai fitna-e-sad-hush-ruba bhi hai kar-e-junun ahl-e-junun ke liye aasan ye kaam kabhi ahl-e-farasat se hua bhi taskin-e-dil-o-jaan hai agar wo rukh-e-zeba us qamat-e-zeba mein hai ek hashr chhupa bhi jo samne aae to meri samt na dekhe deta hai shab-e-hijr wahi mujh ko sada bhi utre jo wo sine mein to ilham ki surat thahre to larazne lage shabnam ki rida bhi utthe to qayamat bhi qadam chum ke guzre al-qissa wo andaz hai aafat bhi bala bhi 'hafiz' mere sine mein farozan hai abhi tak wo dard sikhata hai jo jine ki ada bhi