hail thi bich mein jo razai tamam shab is gham se hum ko nind na aai tamam shab ki yas se hawas ne ladai tamam shab tum ne to khub rah dikhai tamam shab phir bhi to khatm ho na saki aarzu ki baat har chand hum ne un ko sunai tamam shab bebak milte hi jo hue hum to sharm se aankh us pari ne phir na milai tamam shab dil khub jaanta hai ki tum kis khayal se karte rahe adu ki burai tamam shab phir sham hi se kyun wo chale the chhuda ke hath dukhti rahi jo un ki kalai tamam shab 'hasrat' se kuchh wo aate hi aise hue khafa phir ho saki na un se safai tamam shab