hain dhabbe tegh-e-qatil ke jise dhone nahin dete mere ahbab tajdid-e-wafa hone nahin dete meri wahshat ke sae jhankte rahte hain rauzan se ye aadam-khor mujh ko raat-bhar sone nahin dete shikast-e-arzu ruswai-e-fikr-o-nazar paiham yahi haalat mujh ko aap ka hone nahin dete taqaza-e-wafa mein bhi sitam ka ek pahlu hai main rona chahta hun aur wo rone nahin dete 'habib' apni khata thi ho gae ruswa zamane mein ki hum sehn-e-chaman mein bijliyan bone nahin dete