hain sau tarah ke rang har ek naqsh-e-pa mein dekh

By akbar-hyderabadiOctober 24, 2020
hain sau tarah ke rang har ek naqsh-e-pa mein dekh
insan ka husn aaina-e-irtiqa mein dekh
yun hi nahin ye bartari-e-nasl-e-admi
guzre hain kaise hadse sai-e-baqa mein dekh


sarf-e-nazar hain waqt ki pinhaiyan tamam
duniya-e-na-rasa meri fikr-e-rasa mein dekh
ye raushni to lau hai isi ek charagh ki
tazin-e-dahr zehn ki nash-o-numa mein dekh


is karobar jaan-o-jasad par nigah dal
hain kaisi kaisi neamaten aab-o-hawa mein dekh
yan kitne log mar ke amar ho gae na puchh
kya suraten baqa ki hain rah-e-fana mein dekh


sun to khiram-e-waqt mein hain kaisi aahaten
kya rang pur-fishan hain ghubar-e-hawa mein dekh
'akbar' hai ek mahshar-e-ilm-o-khabar dimagh
shor-e-hayat khana-e-bim-o-raja mein dekh


41878 viewsghazalEnglish