hairat aur iztirab ko ham-sar karunga main dekhunga tujh ko aankh ko patthar karunga main aandhi ko odh lunga zarurat padi agar tapti hui chatan ko bistar karunga main logon ko ek sham dikhaunga moajiza sae ko apne qad ke barabar karunga main sanpon ko doston se bhi daswaunga kabhi dekhoge ye tamasha sadak par karunga main ya apni band mutthiyan dekhunga ghaur se warna khayal-e-dast-e-sikandar karunga main 'ghaalib' ke baad urdu ghazal mar gai 'nizam' murde pe aisa kaun sa mantar karunga main