hairat ko muzhda garm hai bazar-e-aina
By abdul-hadi-wafaApril 23, 2024
hairat ko muzhda garm hai bazar-e-aina
khuban-e-khud-numa hain kharidar-e-aina
han 'ashiqon ko kashmakash-e-jaur se faragh
wo hai asir-e-shana giraftar-e-aina
mujh ko bhi yun hai zanun-e-hasrat se wasta
'tu' jaise har ghadi hai nigah-dar-e-aina
dallal chashm-e-shokh hai qimat nazara hai
aur husn be-hijab kharidar-e-aina
nakaam teri did se hain khwab mein bhi hum
laen kahan se talea-e-be-dar-e-aina
husn-e-amal ki dad sikandar ko mil gai
wo rashk-e-aina hai talabgar aaina

43150 viewsghazal • English