haiwan ki manzil mein bashar hai ki nahin hai insan ko insan ka dar hai ki nahin hai mear-e-tajalli se to waqif hain nigahen jalwon ko bhi andaz-e-nazar hai ki nahin hai farzana-e-dauran bhi hai is baat pe khamosh diwana sar-e-rahguzar hai ki nahin hai jis azm se manzil pe pahunchte hain musafir wo azm ba-in zauq-e-safar hai ki nahin hai be-sakhta manzil ki taraf bhagne walo raftar-e-zamana ki khabar hai ki nahin hai rangini-e-aghaz-e-bahaaran ke asiro anjam-e-bahaaran pe nazar hai ki nahin hai na-qadri-e-afkar ke is daur-e-falak mein mail ba-qalam dast-e-hunar hai ki nahin hai arbab-e-mohabbat pe jo dhai hai qayamat us sham-e-shab-e-gham ki sahar hai ki nahin hai jis dar se nasim-e-sahari ghar mein ho dakhil kashana-e-imkan mein wo dar hai ki nahin hai baatil ka gala kat de jo haq ki madad se khun-e-rag-e-jaan mein wo asar hai ki nahin hai jis dagh ki tarif hai dagh-e-gham-e-jaanan wo dagh ba-mear-e-jigar hai ki nahin hai wo zakhm-e-tamanna jo muqaddar hai 'saba' ka us zakhm pe hikmat ki nazar hai ki nahin hai