halki halki dhup khili thi
By rehman-musawwirOctober 13, 2020
halki halki dhup khili thi
wo mere bazu baithi thi
main khoya khoya rahta tha
wo uljhi uljhi rahti thi
ghar mein phul bikhar jate the
wo jab bhi khul kar hansti thi
ab ke tuta tha sannata
ab ke khamoshi boli thi
sunne wala koi to hota
hum ne kaam ki baat kahi thi
jab main ishq mein khak hua tha
tab sahra mein khak udi thi
ek jharne ne naghma gaya
patthar ne aawaz suni thi
jashn tha barpa jangal jangal
shahron shahron aag lagi thi
ishq samundar tha be-parwa
ret mein naddi sar dhunti thi
aisi baat kahi thi us ne
sidhe dil par chot lagi thi
pakki inton ka aangan tha
diwaron par bel ugi thi
wo mere bazu baithi thi
main khoya khoya rahta tha
wo uljhi uljhi rahti thi
ghar mein phul bikhar jate the
wo jab bhi khul kar hansti thi
ab ke tuta tha sannata
ab ke khamoshi boli thi
sunne wala koi to hota
hum ne kaam ki baat kahi thi
jab main ishq mein khak hua tha
tab sahra mein khak udi thi
ek jharne ne naghma gaya
patthar ne aawaz suni thi
jashn tha barpa jangal jangal
shahron shahron aag lagi thi
ishq samundar tha be-parwa
ret mein naddi sar dhunti thi
aisi baat kahi thi us ne
sidhe dil par chot lagi thi
pakki inton ka aangan tha
diwaron par bel ugi thi
43490 viewsghazal • English