ham-martaba na samjho rutba mera to jaano shan-e-zaman raho tum mujh ko gada to jaano yun to nikal dega sandal-badan ka kas-bal bose ki kar de khwahish puri mua to jaano ab se bhi sikh lo tum panw zamin pe dharna kaghaz qalam uthaya tum par likha to jaano shishe pe pa-barahna chalna nahin hai aasan kirchen chubhen to jaano talwa chhila to jaano mue ne munh ki khai phir bhi ye zor zori ye rekhti hai bhai tum rekhta to jaano ghazi-miyan hain chhote lekin badi si dum hai ye dum phansi to jaano kuchh bhi hua to jaano kahte hain 'qasmi' bhi bachpan ka hai chatora hatthe chadhegi jab bhi wo dilruba to jaano