ham-nashino kuchh nahin rakkha yahan par kuchh nahin chhod do is ki hawas duniya ke andar kuchh nahin dar khula hi rahne do ghar se nikalte waqt tum kuchh agar hai to tumhaari zat hai ghar kuchh nahin baen mein suraj rahe aur chand dahne hath mein dil agar raushan nahin to shobada-gar kuchh nahin main sarapa raat bhi hun main sarapa subh bhi mujh se kam-tar kuchh nahin aur mujh se bartar kuchh nahin ek chamak aankhon mein aa jati hai us ko dekh kar warna dil to muttafiq hai aap se, zar kuchh nahin aaine se ro ke puchha jab kabhi main kaun hun aaina bola wahin fauran palat kar kuchh nahin waqt ne sab dur kar di hain meri khush-fahmiyan ye mera mukhlis hai mujh ko is se badh kar kuchh nahin