ham-nawa mere mujh se juda ho gae wo khafa kya hue sab khafa ho gae husn ka raaz-e-sar-basta khul jaega lala-o-gul agar lab-kusha ho gae aap apne hi jalwe the pesh-e-nazar hasraten badh gain aaina ho gae ye mera fan ki main ne tarasha jinhen pattharon ke wo but sab khuda ho gae jab se mahfil mein tum jaan-e-mahfil hue bewafa sab ke sab ba-wafa ho gae kaam aa hi gaya apna diwana-pan lazzat-e-sang se aashna ho gae di 'asir' apni aankhon mein jin ko jagah shahr-e-dil ke wo farman-rawa ho gae