ham-safar tu ne paron ko jo mere kaTa hai

By waseem-malikNovember 24, 2020
ham-safar tu ne paron ko jo mere kata hai
tere kirdar ka ye sab se bada ghata hai
aaiye aap ko dastar-e-fazilat di jae
aap ne apne hi logon ka gala kata hai


koi dastak koi aahat na sada hai koi
dur tak ruh mein phaila hua sannata hai
lutf ye hai ki usi shakhs ke mamnun hain hum
jis ki talwar ne qiston mein hamein kata hai


hum pe ghalbe ki yahi ek to surat thi 'wasim'
buz-dilon ne yun hi khanon mein nahin banta hai
87872 viewsghazalEnglish