hamara dil dukhaya hai kisi ne

By abhishek-jainFebruary 5, 2024
hamara dil dukhaya hai kisi ne
hamein kitna sataya hai kisi ne
nahin koi wahan maujud apna
jahan hum ko bulaya hai kisi ne


hamari baat sun kar ro pade wo
koi naghma sunaya hai kisi ne
kahan se aa gaya sailab itna
tumhein ji-bhar rulaya hai kisi ne


gharibon ko sataya aur luta
bahut paisa kamaya hai kisi ne
30220 viewsghazalEnglish