hamara khwab agar khwab ki khabar rakkhe to ye charagh bhi mahtab ki khabar rakkhe utha na paegi aasudgi thakan ka bojh safar ki gard hi aasab ki khabar rakkhe tamam shahr giraftar hai aziyyat mein kise kahun mere ahbab ki khabar rakkhe nahin hai fikr agar shahr ki makanon ko to koi dasht hi sailab ki khabar rakkhe