hamara KHwab kuchh kuchh aur hai tabir aankhon mein

By farhat-ehsasFebruary 6, 2024
hamara khwab kuchh kuchh aur hai ta'bir aankhon mein
liye phirte hain shayad hum ghalat taswir aankhon mein
bahut hain tang hum aawargi-e-did se apni
koi surat nahin jo dal de zanjir aankhon mein


'ajab majlis aza ki hai ki majma' kam nahin hota
musalsal aansuon ki hai wahi taqrir aankhon mein
mohabbat dekhni ho to un aankhon par nazar rakkho
achanak hi ubhar aati hai ye tahrir aankhon mein


bhula baitha hun sare khwab jo kal raat dekhe the
ki meri subh ne kar di bahut takhir aankhon mein
usi se mere din ke khwab ko ta'bir milti hai
main sari raat karta hun jo kuchh ta'mir aankhon mein


kuchh itni zor se bhincha hai aaghosh-e-khamoshi ne
ki khinch kar aa gai lafzon ki sab tasir aankhon mein
85087 viewsghazalEnglish