hamare beach agarche raha nahin kuchh bhi

By abrar-ahmadOctober 23, 2020
hamare beach agarche raha nahin kuchh bhi
magar ye dil hai abhi manta nahin kuchh bhi
hum us ke gham ko in aankhon mein le ke phirte hain
magar wo shakhs hamein jaanta nahin kuchh bhi


ye kaisi dhul si rahon mein udti phirti hai
tu ai musafir-e-jaan kya bacha nahin kuchh bhi
hum apne apne dil-o-jaan ki khair mangte hain
ye ijz kuchh bhi nahin hai ana nahin kuchh bhi


bas ek manzar-e-khali main ungh leta hun
wo khush-nazar hai magar dekhta nahin kuchh bhi
tu bol uthta hai hum ko bhala bhi lagta hai
magar tu yar mere sochta nahin kuchh bhi


kahin pe ho ki na ho izzat-e-gunah-garan
magar yahan koi tere siwa nahin kuchh bhi
guman to khair mohabbat ka tha par ab is se
ba-su-e-ranj-talab wasta nahin kuchh bhi


hamare haal pe tum ko malal tak bhi nahin
to kya jo rabt hamara tha
tha nahin kuchh bhi
kabhi jo aao to hum ko jo tum se kahni hai


yunhi si baat hai ab muddaa nahin kuchh bhi
44598 viewsghazalEnglish