hamare darmiyan ahd-e-shab-e-mahtab zinda hai hawa chupke se kahti hai abhi ek khwab zinda hai ye kis ki narm khushbu hai meri shab ki haweli mein ye kaisa raqs-e-masti ai dil-e-betab zinda hai kahan wo sanwli shamen kahan wo reshmi baaten magar ek lams-e-hairan ka abhi zarnab zinda hai abhi tak paniyon mein surmai sae utarte hain abhi tak dhadkanon mein dard ki mizrab zinda hai siraat-e-ishq hai aur hijr ki tanha masafat hai wahi hai tishnagi phir bhi fareb-e-ab zinda hai