hamare haal se koi jo ba-KHabar rahta

By athar-nadirOctober 27, 2020
hamare haal se koi jo ba-khabar rahta
khayal us ka hamein bhi to umr-bhar rahta
jise bhi khwahish-e-diwar-o-dar ho sahra mein
wo kam-nasib to achchha tha apne ghar rahta


hawa se tut ke girna mera muqaddar tha
ki zard patta tha kyunkar main shakh par rahta
jo dekhta hun zamane ki na-shanasi ko
ye sochta hun ki achchha tha be-hunar rahta


hamari wajh se hoti na teri ruswai
hamare sath agar tu na is qadar rahta
tazad qaul-o-amal mein ho jis ke ai 'nadir'
wo shakhs kaise nigahon mein mo'atabar rahta


89525 viewsghazalEnglish