hamare hath mein kab saghar-e-sharab nahin hamare qadmon pe kis roz mahtab nahin jahan mein ab koi surat pae-sawab nahin wo mai-kade nahin saqi nahin sharab nahin shab-e-bahaar mein zulfon se khelne wale tere baghair mujhe aarzu-e-khwab nahin chaman mein bulbulen aur anjuman mein parwane jahan mein kaun gham-e-ishq se kharab nahin gham, aah ishq ke gham ka koi nahin mausam bahaar ho ki khizan kab ye iztirab nahin umid-e-pursish-e-ahwal ho to kyunkar ho salam ka bhi teri bazm mein jawab nahin watan ka chhed diya kis ne tazkira 'akhtar' ki chashm-e-shauq ko phir aarzu-e-khwab nahin