hamare qaul o amal mein tazad kitna hai magar ye dil hai ki khush-e'tiqad kitna hai ki jaise rang hi le aaega lahu apna wafa pe apni hamein e'timad kitna hai ye jaanta hai ki wada-shikan hai wo phir bhi dil us ke wada-e-farda pe shad kitna hai wo jis ne mujh ko faramosh kar diya yaksar wo shakhs mujh ko magar ab bhi yaad kitna hai hai ab to sare marasim ka inhisar us par kisi ki zat se hum ko mafad kitna hai har ek soch hai aaluda-e-hawas yaro ragon mein qatra-e-khun ka fasad kitna hai hai yun to mere raqibon mein ikhtilaf bahut mere khilaf magar ittihad kitna hai