hamare sath ajab hi muamla hua hai hawa thahar si gai hai diya jala hua hai usi maqam pe ek qafila ruka hua hai jahan tumhaara mera rasta juda hua hai na jaane baad-e-saba kah gai hai kan mein kya ki phul shakh-e-burida pe bhi khila hua hai mile ek umr ke baad aur is tarah se mile wo chup hai aur hamara bhi sar jhuka hua hai dayar-e-mahr ki sarhad talash karne ko mah o nujum ka ek qafila chala hua hai haqiqaten to atal hain badal nahin saktin magar kisi ki tasalli se hausla hua hai bajae do ke baje ek hath se tali muamalat mein aisa kabhi bhala hua hai meri umid ka hai teri aarzu ka hai diya hai aur badi der se jala hua hai umid khil si gai hai mahak utha hai khayal saba ki narm si dastak pe dil ko kya hua hai mahak raha hai mere khar khar jiwan mein wo lamha jo abhi mujh mein gulab sa hua hai