hamare zakhm-e-tamanna purane ho gae hain ki us gali mein gae ab zamane ho gae hain tum apne chahne walon ki baat mat suniyo tumhaare chahne wale diwane ho gae hain wo zulf dhup mein furqat ki aai hai jab yaad to baadal aae hain aur shamiyane ho gae hain jo apne taur se hum ne kabhi guzare the wo subh o sham to jaise fasane ho gae hain ajab mahak thi mere gul tere shabistan ki so bulbulon ke wahan aashiyane ho gae hain hamare ba'd jo aaen unhen mubarak ho jahan the kunj wahan kar-khane ho gae hain