hamari aankh udasi se lal kab tak ho
By aarif-nazeerJuly 30, 2024
hamari aankh udasi se lal kab tak ho
tumhaare jaane ka aakhir malal kab tak ho
kisi bhi roz umad aaegi ye bezari
batao itna ziyaada khayal kab tak ho
taghayyuraat-e-zamana hai lutf lete raho
hamari baat yunhi hasb-e-haal kab tak ho
hata rahe hain ta'alluq pe jo jami hai gard
wo rabton ka tasalsul bahaal kab tak ho
udasi aur kahin bhi hamein bulati hai
bas ek jagah pe musalsal dhamal kab tak ho
milega int ka un ko jawab patthar se
main muntazir hun ki 'arif' sawal kab tak ho

79477 viewsghazal • English