hamari tarah huruf-e-junun ke jal mein aa kabhi to jalwa-gah-e-nun-jim-dal mein aa abhi to gard zamane ki ud rahi hai yahan abhi na misl-e-saba kucha-e-khayal mein aa guzar na jae kahin khamushi mein ye shab bhi muraqiba to hua ab zara jalal mein aa tujhe bhi aaj koi rup bakhshta hi chalun tu sang hai to mere dast-e-ba-kamal mein aa yahan zawal ka manzar bhi la-zawal nahin yaqin nahin to bayaban-e-mah-o-sal mein aa