hamdardiyan kisi se kisi se dua mili

hamdardiyan kisi se kisi se dua mili
ya-rab sila mila hai mujhe ya saza mili

us aadmi ko jaaniye sab kuchh hi mil gaya
jis aadmi ko daulat-e-sharm-o-haya mili

kuchh logon ki shikayaten hongi baja magar
hum ko to dosti mein hamesha wafa mili

pi jaen khum ke khum hi jo pir-e-mughan unhen
paimanon mein sharab mili bhi to kya mili

udne se rok len meri kamzoriyan mujhe
be-shak hazar bar muafiq hawa mili

kis kaam ka wo aadmi is daur mein jiye
andaz-e-sufiyana nazar parsa mili

wo shakhs mo'atabar hua ajmer jo gaya
nadiya hui nihaal jo ganga mein ja mili

'parwaz' khush-nasib hai wo aadmi jise
rahbar mila durust nasihat baja mili


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close