hamein ab hijr us ka khal raha hai kya kiya jae
By hamza-bilalFebruary 26, 2024
hamein ab hijr us ka khal raha hai kya kiya jae
jo wa'da wasl ka tha tal raha hai kya kiya jae
kabhi jis ki badaulat hum ko sab aadab karte the
bulandi ka wo suraj dhal raha hai kya kiya jae
teri pyari si surat ko basate dil ke mandir mein
magar tu aankh se ojhal raha hai kya kiya jae
main sari hasraton ko dafn to kar aaya hun lekin
tumhaara khwab dil mein pal raha hai kya kiya jae
na rawan hai kahani mein na sita zindagani mein
magar banwas phir bhi chal raha hai kya kiya jae

77601 viewsghazal • English