hamein apne hi jaisa dusra hone ka waqt aaya

By farhat-ehsasFebruary 6, 2024
hamein apne hi jaisa dusra hone ka waqt aaya
mohabbat aai aur khud se juda hone ka waqt aaya
utha wo waqt-e-araish ki mahfil hone wali hai
phir us ke 'ashiqon ke aaina hone ka waqt aaya


moazzin ne azan di aur wo but nikla khuda ban kar
khuda ki sab namazon ke qaza hone ka waqt aaya
junun ko imtihan lena hai ab ahl-e-mohabbat ka
libas-e-jism utaro be-haya hone ka waqt aaya


bigadti ja rahi hain sari shaklen kitni tezi se
hamare shahr ke kya jaane kya hone ka waqt aaya
khizan mein to purana-pan utarta hai darakhton ka
khizan mein to darakhton ke naya hone ka waqt aaya


tumhaara but tumhaari bandagi karne pe raazi hai
to pyare 'farhat-ehsas' ab khuda hone ka waqt aaya
50184 viewsghazalEnglish