hamein bhi kyun na ho dawa ki hum bhi yakta hain hamare khun ke pyase jab ahl-e-duniya hain bas is khata pe ki pahchante hain kyun sab ko ye sahiban-e-nazar shahr bhar mein ruswa hain hum ahl-e-dil ka zamana hi sath de na saka hamein bhi dukh hai ki hum is safar mein tanha hain hamein na jaano faqat dubta hua lamha hamein yaqin hai ki hum hi nishan-e-farda hain mita sakegi hamein kya koi siyah-bakhti hum apna jism bhi hain hum hi apna saya hain hamein pukar na ab ai arus-e-shabnam-o-gul hamein na dhundh ki hum be-kanar sahra hain sada-e-saz nahin ham-nawa-e-gham hi sahi hamein suno ki hamein e'tibar-e-naghma hain