hamein bhi matlab-o-mani ki justuju hai bahut harif-e-harf magar ab ke du-ba-du hai bahut waqar ghar ki tawazo hi par nahin mauquf ba-faiz-e-shairi bahar bhi aabru hai bahut phate purane dilon ki khabar nahin leta agarche jaanta hai hajat-e-rafu hai bahut badan ka sara lahu khinch ke aa gaya rukh par wo ek bosa hamein de ke surkh-ru hai bahut idhar udhar yun hi munh marte bhi hain lekin ye mante bhi hain dil se ki hum ko tu hai bahut ab us ki did mohabbat nahin zarurat hai ki us se mil ke bichhadne ki aarzu hai bahut yahi hai be-sar-o-pa baat kahne ka mauqa pata chalega kise shor chaar-su hai bahut ye haal hai to badan ko bachaiye kab tak sada mein dhup bahut hai lahu mein lu hai bahut yahi hai fikr kahin man hi na jaen 'zafar' hamare mojaza-e-fan pe guftugu hai bahut