hamein dekha na kar udti nazar se umidon ke nikal aate hain par se ab un ki rakh palkon par jami hai ghadi bhar khwab chamke the sharar se bachane mein lagi hai khalq mujh ko main zaea ho raha hun is hunar se wo lahja-ha-e-dariya-e-sukhan mein musalsal bante rahte hain bhanwar se samundar hai koi aankhon mein shayad kinaron par chamakte hain guhar se tawaqqo hai unhen us abr se jo dikhai de idhar us or barse zara imkan kya dekha nami ka nikal aae shajar diwar-o-dar se raqam dil par hua kya kya na puchho bayan hona hai ye qissa nazar se sambhalte hi nahin hum se 'bakul' ab bache hain din yahan jo mukhtasar se