hamein dekhe se wo jita hai aur hum us pe marte the yahi raaten thin aur baaten thin wo din kya guzarte the wo soz-e-dil se bhar lata tha ashk-e-surkh aaankhon mein agar hum ji ki bechaini se aah-e-sard bharte the kisi dhadke se rote the jo baham wasl ki shab ko wo hum ko mana karta tha hum us ko mana karte the mili rahti thin aanhken ghalba-e-ulfat se aapas mein na khauf us ko kisi ka tha na hum logon se darte the so ab sad-haif us khurshid-ru ke hijr mein 'jurat' yahi raaten hain aur baaten hain wo din kya guzarte the