hamein kahti hai duniya zakhm-e-dil zakhm-e-jigar wale zara tum bhi to dekho hum ko tum bhi ho nazar wale nazar aaenge naqsh-e-pa jahan us fitnagar wale chalenge sar ke bal rasta wahan ke rahguzar wale sitam-ijadiyon ki shan mein batta na aa jae na karna bhul kar tum jaur charkh-e-kina-war wale jafa-o-jaur-e-gul-chin se chaman matam-kada sa hai phadakte hain qafas ki tarah aazadi mein par wale alif se ta-ba-ya lillah afsana suna dije janab-e-musa-e-imran wahi hairat-nagar wale hamein malum hai hum mante hain hum ne sikha hai dil aazurda hua karte hain az had chashm-e-tar wale katane ko gala aathon pahr maujud rahte hain wo dil wale jigar wale sahi hum bhi hain sar wale tamasha dekh kar duniya ka 'sael' ko hui hairat ki takte rah gae bad-gauharon ka munh guhar wale