hamein KHabar hai wo kyon humse ab nahin milta

By aalam-nizamiMarch 24, 2022
hamein khabar hai wo kyon hum se ab nahin milta
yahan kisi se koi be-sabab nahin milta
phir aaftab kahan apni raushni bante
nae charaghon mein husn-e-talab nahin milta


bata rahi hain adibon ke ghar ki tahziben
wirasaton mein sabhi ko adab nahin milta
main jalne lagta hun tanhaiyon ke dozakh mein
kabhi wo meri zarurat pe jab nahin milta


udas mat ho jo hasil na kar saka us ko
kabhi kisi ko zamane mein sab nahin milta
hai zat aap ki takhliq-e-do-jahan ka sabab
na milte aap hamein hum ko rab nahin milta


31074 viewsghazalEnglish