hamein likha bhi agar hashiye mein rakha gaya

By tasneem-abidiMarch 2, 2021
hamein likha bhi agar hashiye mein rakha gaya
nazar na aae jo us zawiye mein rakha gaya
tere nasib mein manzil kabhi na aaegi
safar tamam tarah daere mein rakha gaya


hawa ko ye bhi bataya ki raushni hai kahan
charagh ko bhi tere raste mein rakha gaya
ana ke nam pe jab ban gaya sanam-khana
khuda ko la ke wahan but-kade mein rakha gaya


hua ye haal ki behaal ho gae hum to
ba-nam-e-ishq ajab marhale mein rakha gaya
ajib saat-e-didar thi nigahon mein
saja ke hairaton ko aaine mein rakha gaya


koi bayan diya na koi safai di
hamara nam magar faisle mein rakha gaya
22589 viewsghazalEnglish