hamein na aaj kisi gham pe jab hansi aai
By manmohan-talkhSeptember 24, 2023
hamein na aaj kisi gham pe jab hansi aai
to umr-e-rafta ne aawaz di abhi aai
hue hain mahw hum aise ki der tak hum ko
kisi ne dekha to nazron mein be-rukhi aai
gai thi sath wahan tak to dil ki betabi
hamare sath kahan se ye be-dili aai
wo inqilab-e-dil-e-dost aaj bhi na hua
ki jis ko dekhne ek 'umr laut si aai
usi ki uchti si baaten jo aaj us se kahin
to der tak na sukhan mein shaguftagi aai
wahi sada mujhe ab ajnabi si lagti hai
hayat-e-rafta palat ab kathin ghadi aai
nigah-e-dost bahut apna haal jaan liya
jo tujh mein dard-bhari be-tawajjohi aai
khayal-e-pursish-e-gham to use bhi hai ai dil
tere nasib jo ab tak na wo ghadi aai
dil aur dard mein barson ki than gai hai yahan
kisi ke hone na hone se kya kami aai
ye dil se uth ke jo dard aa basa hai aankhon mein
na jaane yaad hamein kaun si ghadi aai
lagi hui thin ye aankhen bahut jo tum pe to aaj
unhin mein hum ko nazar apni be-kasi aai
bil-akhir apne mizajon ke ho rahe qail
agarche teri adaon ki yaad bhi aai
qadam-qadam pe wo teri umid si ki nigah
palat ke raste-bhar tujh ko dekhti aai
usi ke rang mein hum aaj us se mil baithe
usi ke samne aaj us ki sadgi aai
yahan to ashk bhar aae ba-yaad-e-pursish-e-gham
wahan na jaane un aankhon mein kyon nami aai
hamari bazm-e-tasawwur mein wo nigah na thi shokh
yahan to jab bhi wo aai jhuki-jhuki aai
kisi ko dekh ke tanhai jag uthti hai
ki ye hai jis ke baghair is qadar kami aai
hum apne dard ko anmol jaante the 'talkh'
hamein hayat murawwat mein bech bhi aai

37698 viewsghazal • English