hamein sath mil to gaya tha kisi ka

By balbir-rathiJanuary 2, 2024
hamein sath mil to gaya tha kisi ka
magar mukhtasar tha safar zindagi ka
kahan aa gae hum bhatakte bhatakte
yahan to nishan tak nahin raushni ka


tamaddun ki ye kaunsi manzilen hain
ki dushman hua aadmi aadmi ka
wafa ek muddat hui mit chuki hai
kahan nam lete ho ab dosti ka


agar sath hote wo in raston par
to kya haal hota meri aagahi ka
mere haal par muskura kar gae hain
chalo haq ada ho gaya dosti ka


46869 viewsghazalEnglish