hamein shaghaf hai hamesha se nafsiyat ke sath

By sajid-raheemFebruary 28, 2024
hamein shaghaf hai hamesha se nafsiyat ke sath
'amal se badh ke 'amal ke muharrikat ke sath
bhale fasana sahi man-ghadat kahani sahi
tera bhi zikr to hota hai meri baat ke sath


gham-e-shikast manaun ki in ko pursa dun
hazar hausle tute hain meri mat ke sath
bana na pinjra darakhton ki shakl ka zalim
na aise khel parindon ki nafsiyat ke sath


jhidakna baat na sunna gala daba dena
mera ‘umumi rawayya hai khwahishat ke sath
tamam rishton ki mi'ad ek muqarrar hai
ab itni 'aql to aati hai tajrabaat ke sath


nahin hai koi tamanna nai mohabbat ki
main ji raha hun guzishta ki baqiyat ke sath
jahan ke rang mein dhalta hun is liye ki kahin
mujhe saja ke na rakh de nawadiraat ke sath


hamare hath mein aa kar na ja sakega kahin
hamari shart lagi hai tumhaare hath ke sath
usi ke nam lagega ye jurm-e-but-shikani
khazana jis ne chhupaya tha somnat ke sath


nazar pade na kisi ki nazar milate hue
wo log 'ishq bhi karte the ehtiyat ke sath
53667 viewsghazalEnglish