hamein to lala-o-gul ab bhi sogwar mile
By anjum-azmiSeptember 3, 2022
hamein to lala-o-gul ab bhi sogwar mile
jo khun-e-dil na jalao to kya bahaar mile
ye kya ki zakhm-e-jigar chashm-e-intizar mile
mile to sohbat-e-huran-e-gul-ezar mile
kahin to pahunchen ye sahra-nawardiyan kab tak
wo mai-kada hi sahi gar na koi yar mile
gulon ka husn saba ka khiram rang-e-chaman
har ek ada mein teri masti-e-bahaar mile
hain tere shahr mein kuchh to moallim-e-akhlaq
jinhen ye fikr ki daman na dagh-dar mile
hamari tarah jo mast-e-alast rahti hain
unhen na halqa-e-rindan na ku-e-yar mile
batao tum ne bhi un mein kisi ko chaha hai
tumhaare chahne wale to be-shumar mile
kisi ko paya hai hum ne jo be-misal 'anjum'
qarar kho ke mile us se bar-bar mile

71940 viewsghazal • English