hamein tum pe guman-e-wahshat tha hum logon ko ruswa kiya tum ne abhi fasl gulon ki nahin guzri kyun daman-e-chaak siya tum ne is shahr ke log bade hi sakhi bada man karen durweshon ka par tum se to itne barham hain kya aan ke mang liya tum ne kin rahon se ho kar aai ho kis gul ka sandesa lai ho hum bagh mein khush khush baithe the kya kar diya aa ke saba tum ne wo jo qais gharib the un ka junun sabhi kahte hain hum se raha hai fuzun hamein dekh ke hans to diya tum ne kabhi dekhe hain ahl-e-wafa tum ne gham-e-ishq mein kari dawa na dua ye hai rog kathin ye hai dard bura hum karte jo apne se ho sakta kabhi hum se bhi kuchh na kaha tum ne ab rah-raw-e-manda se kuchh na kaho han shad raho aabaad raho badi der se yaad kiya tum ne badi dard se di hai sada tum ne ek baat kahenge 'insha'-ji tumhein rekhta kahte umr hui tum ek jahan ka ilm padhe koi 'mir' sa sher kaha tum ne