hamein un se mohabbat hai zarurat se ziyaada hi unhen hum se shikayat hai zarurat se ziyaada hi sitare rashk karte hain nazare rashk karte hain meri jaan khubsurat hai zarurat se ziyaada hi mila hai ham-nawa aisa jo mera ham-zaban bhi hai pasand us ko bhi 'sarwat' hai zarurat se ziyaada hi farishton ko sunaunga main barg-e-gul ke afsane kahani mein sadaqat hai zarurat se ziyaada hi khalaon mein chala jata hun aksar ghumne ko main zamin par phaili nafrat hai zarurat se ziyaada hi wirasat mein bhala legi bhi kya nasl-e-far-o-maya ghazal mein bhi siyasat hai zarurat se ziyaada hi ghazal sapne mein kahne aai thi kal baat ye mujh se mujhe teri zarurat hai zarurat se ziyaada hi nakir-o-munkir-o-rizwan sunenge sher ab mere 'shafaq' ki in ko chahat hai zarurat se ziyaada hi