hamesha dur rah kar bhi hamesha pas hota hai

By seema-naqviMarch 1, 2021
hamesha dur rah kar bhi hamesha pas hota hai
mohabbat mein koi ek shakhs kitna khas hota hai
kisi se dil hi dil mein ruthna phir khud hi man jaana
guman is par ki shayad us ko bhi ehsas hota hai


kisi ke sath rahna aur wo bhi ajnabi ban kar
kisi ko kya pata kitna bada ban-bas hota hai
bikharta jata hai har su mahakta mushk-bu lahja
khuda malum kab tak bar-sar-e-qirtas hota hai


suna hai log is sahra mein bhi sairab hote hain
wahi sahra jo shayad aap apni pyas hota hai
ye hum hi hain jo aa jate hain baaton mein zamane ki
zamane bhar ki baaton par kise wishwas hota hai


ye masti hai junun-e-ishq ki tari hai jo mujh par
ye kis ne kah diya har shakhs hi raqqas hota hai
wo ranai hi ranai hai zeba us ko yaktai
ki jis ka zikr misl-e-sura-e-ikhlas hota hai


ye kaisi marg-asa chup lagi hai aaj-kal 'sima'
suna tha dard ka lahja bada hassas hota hai
22232 viewsghazalEnglish