hamrah mere koi musafir na chala tha

By shabnam-shakeelNovember 18, 2020
hamrah mere koi musafir na chala tha
dhoka mujhe khud apni hi aahat se hua tha
masdud hui jis ki har ek rah-e-sarasar
is saf mein mujhe la ke khada kis ne kiya tha


jumbish hi se honton ki jo kuchh samjho to samjho
is gung-mahal mein to bas itna hi rawa tha
tamir hue ghar to gae jaane kahan wo
jin khana-ba-doshon ka yahan khema laga tha


dhundlae khad-o-khal gar us ke to ajab kya
dekhe hue yun bhi use yug bit gaya tha
shab shoala-ba-daman to sahar sokhta-saman
do rup badalta tha ajab wo bhi diya tha


84482 viewsghazalEnglish