hamwar khinch kar kabhi dushwar khinch kar

By ali-tasifJune 3, 2024
hamwar khinch kar kabhi dushwar khinch kar
tang aa chuka hun sans lagatar khinch kar
maidan mein gar na aata main talwar khinch kar
le jate log misr ke bazar khinch kar


khatir mein kuchh na laega ye sail-e-ashk hai
tum rokte ho ret ki diwar khinch kar
ukta chuka ye dil bhi nazar bhi main aap bhi
muddat se teri hasrat-e-didar khinch kar


ai zist tera faisla karne laga tha main
late agar na mujh ko mere yar khinch kar
hargiz ye aise manne wali nahin miyan
duniya ko do laga sar-e-bazar khinch kar


jata raha wo kaif-e-nihan jo chubhan mein tha
pachhta raha hun panw ke ab khar khinch kar
mere khayal mein thi kahani yahin talak
ab kyon badhae jate hain kirdar khinch kar


'tasif' agar hai mal khara to yaqin rakh
laega aap apne kharidar khinch kar
68811 viewsghazalEnglish