han dard-e-nihan rang ki tabir se puchho

By abdul-hadi-wafaDecember 25, 2020
han dard-e-nihan rang ki tabir se puchho
dil par jo lagi chot wo tasir se puchho
aain-e-wafa tauq-e-gulu-gir se puchho
tamkin-e-junun panw ki zanjir se puchho


namus-e-mohabbat ki qayamat ko khabar kya
tum meri tabahi mari taqdir se puchho
lo sehr-e-nazar muddai-e-ghaarat-e-dil hai
kya puchhte ho shokhi-e-taqrir se puchho


mana ki mujhe zahr pilane ki hai tadbir
pahle mari mahrumi-e-taqdir se puchho
kuchh naz hai ek taza hawas par mujhe dekho
kuchh yas hai bigdi hui tadbir se puchho


tum chain se baithe ho hawadis ki khabar kya
nairang-e-jahan gardish-e-taqdir se puchho
shokhi se wahan rang-e-sukhan jam nahin sakta
tamkin mein hai jo baat wo taswir se puchho


kafi hai wahan raaz-e-mohabbat ko ishaara
taqrir nahin parda-e-tahrir se puchho
kya jaane koi zalzala-e-saat-e-mahshar
lo aao idhar aashiq-e-dil-gir se puchho


begana-o-be-dard hain arbab-e-tamasha
to halqa-e-fitrak ko nakhchir se puchho
phir main hun wafa aur wahi aaghaz-e-tamanna
anjam ko nakaami-e-taqdir se puchho


34514 viewsghazalEnglish