han khud-azar hain danista saza chahte hain aisi duniya se to hum karb-o-bala chahte hain hum pe kha kha ke taras puchh raha hai qatil takhta hai tegh hai farmaiye kya chahte hain kya koi bit chuke gham ke badalte mausam sanehe jo na hue wo bhi hua chahte hain nur-e-mahtab se hum mund ke aankhen apni aatish-afshani khawar ki ziya chahte hain wo ki thukraate hain masum farishton ka libas apne shaitan se ek chust qaba chahte hain kaun kahta hua zindan-e-badan se nikla qaid mein rakh ke bhi hum se ye wafa chahte hain apni rudad ka rawi hai ye sota hua ghar ek palak nind nahin chaar baja chahte hain mar mita jin ke liye jama kiya mal-o-manal wahi jina na rahe ab wirsa chahte hain maut ka khauf bhi hota to mafar kab milta phir ye hum kis liye darman-o-dawa chahte hain band karne do hamein band hawa ke pankhe is fara-khez se jangal ki hawa chahte hain zindagi tujh ko bahut kuchh to samajh hi gae hum kuchh hijabaat hain baqi so utha chahte hain nau-bahaaran ki nazahat pe tarawat pe na ja kuchh shagufe hain nae bhi jo khila chahte hain kaj-rawan naqsh-e-kaf-e-pa ko mitane ke baad kitne sada hain ki naqsh-e-kaf-e-pa chahte hain marka ho to yahan koi maraz lahaq hai lashkari bhi hain to kya bang-e-dara chahte hain chait jao un ujalon ko pas-andaz karo kuchh diye hain jo koi dam mein bujha chahte hain aasman par wahi rah jaen na tare hon na chand aur to aur ye shams-ul-ulama chahte hain sab se mumtaz rahe kakh-e-mualla un ka chaar-su jhonpadiyan bhi rausa chahte hain ghar se nikle hain kafan-posh samajh-bujh ke hum ki wahi sab se bade hain jo bhala chahte hain ye zamin dije hamein kachche falak-paimai hum hua chahte hain aab-e-khala chahte hain khush karun kitnon ko kis kis ko banaun dushman sare bhagwan meri pararthna chahte hain dast-kash bhi rahe khushudi-e-duniya se to kya wahi kab khush hai miyan jis ki raza chahte hain khud-farebi ki parastari-e-gum-karda-rahan ki par-e-kah hain aur kah-ruba chahte hain hum jahangir hain ek nur-e-jahan rakhte hain us ki chaalen to nahin us ki ada chahte hain khidmat-e-sher-o-adab ka to hamein dawa hai koi kya jaane ki taskin-e-ana chahte hain