hans ke bola karo bulaya karo aap ka ghar hai aaya jaya karo muskurahat hai husn ka zewar rup badhta hai muskuraya karo had se badh kar hasin lagte ho jhuti qasmen zarur khaya karo hukm karna bhi ek sakhawat hai hum ko khidmat koi bataya karo baat karna bhi baadshahat hai baat karna na bhul jaya karo taki duniya ki dilkashi na ghate nit-nae pairahan mein aaya karo hum hasad se 'adam' nahin kahte us gali mein bahut na jaya karo